Thursday, June 26, 2008

SMS

Aap kee yaad Aapkee yaad ki khushboo se mahaktaa hai dilAapke pyaar ke dam se hee bahaltaa hai dil.......................

DhoonDhte the kabhee jeene kaa bahaanaa ham toZindagee aaj milee hai to machaltaa hai dilThee bahaaron kee tamannaa mere armaanon koAap aaye jo khayaalon men to gaataa hai dilGham milaa hai to vo khushiyaan bhee kaheen door naheenDee jo takdeer ne dastak to uchhaltaa hai dil

Koyee saakee nahee koyee jaam yaa botal bhee naheenAapko khwaab men dekhaa to bahaktaa hai dil

Hum Ko gali Mein Dekh Kar Khud Ko chupa Liye..Jany Ye dushmno Ne Usy Kia sikha Dia..Ghar Us Ne Kya Banaya Masjid ke samany..Chahat ne Us Ki Hum Ko Namazi Bana Dia

Ek sitem hai jo piyar se mansoob kiya jata hai…Iss rah ke musafir ko maghloob kiya jata hai …Do chaar he dunya mei hum jese rahay hon ge …Huq rah pe jinhein naist-o nabood kiya jata hai …Rehta tha kabhi dil mei Muslim ke Kuda her dam…Dunya ko mager deen per mehboob kiya jata hai …Aalamgeer hai Islam or Allah - O Akber …America ko mager super manzoor kiya jata hai…Wehshat ho bari jiski to maano use dehshatgerd. ..Muslim ko is ohhde pe kiun mamoor kiya jata hai …Aalam pe huwa kerti thi Islam ki dehshat …Ulta mager ab saraa dastoor kiya jata hai …

Pathar ke aage sar na jhukana ke woh Devta ho jaye Kisi se itni Mohabbat na karna ke woh bewafa ho jaye

Yaad aate hain college ke woh din, Kitab ke pannon mein mudi mohabbatein; Masoom si harqat, nanhi si shararatein, Kaash! zindagi wahin thehar jaati.

Khawabo Me Kabhi Aap Bhi Khoye Honge, Khuli Aankhoo Se Kabhi Kabhi Soye Honge, Maana Fitrat Hai Muskurane Ki, Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge.

Pyar, Kaho To Alfaz, Mano To Bandagi, Socho To Gehra Sagar, Dubo To Zindagi, Karo To Aasan, Nibhao To Mushkil, Bikhare To Sara Aasman, Simte To Sirf Tum.

Dilse Dilki Duri Nahi Hoti, Kaash Koi Majburi Nahi Hoti, Aapse Milne Ki Tamanna Hain Lekin, Kahte Hain Har Tamanna Puri Nahi Hoti.

Bundo Se Moti Mang Lenge! Chand Se Chandni Mang Lenge! Agar Teri Mohabbat Naseeb Hui, To Teri Mohabbat Ki Khatir Khuda Se Ek Aur Zindagi Mang Lenge!

Nasha Jaruri Hai Jindagi k Liye,Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye. Kisi Ki Mast Nighon Me Doob Jao, Bada Hasin Samundar Hai Khudkushi K Liye.

Kuch Bikhare Spano Se Ankh Me Nami Hai, Ek Chota Sa Asma Aur Umido Ki Zami Hai Yu To Bhaut Kuch Hai Jindagi Me, Sirf Jo Dur Hai Unki Kami hai.Jaan Se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The, Yaad Din Raat Kiya Karte The,

Ab Un Raho Se Guzra Nahi Jata, Jahan Baith Kar Unka Intezaar Kiya Karte The.Baap: Beta is bar tujhe exam me 90% lana hai !Beta: Nahi Dad, mai to is bar 100% launga !!Baap: Kyo Mazak kar rahe ho ?!!Beta: Shuru kisne kiya tha ?

Har Taraf khamoshi Ka Saaya Hai,Jise Chahate Hai hum woh ab paraya hai,Gir Pade hai hum mahobbat ki bhukh se,Aur log kehate hai ki pikar aaya he.

Haqiqat jan lo juda hone se pahle,Meri sunlo apni sunnese pahle,Ye sochlena bhulaneese pahle,Bahut royi hai ye aankhe muskuranese pahle

Bina zakkam khaye ahesas nahi hota,Har koi duniya me khas nahi hota,Magar jiski arzu dil se ho jati hai,Wo hi shaks hamare pas nahi hota

Shikwa nahi koi zindagi se,Magar ek shikayat khuda se zarur hai,Jazbaat kyun diye tune hame,Jab duniya me pyaar karna kasoor hai

Pyase ko ek katra pani kafi hai,ishq mai char pal ki zindagi kafi hai,dubne ko samandar mai jaye kaun,unki palko se tapka voh aasu he kafi hai.

Yea Mera Doosh Nahi…….! !Qalam Ki Nook Per Ab Tak Lahoo Key Qatrey Hain…..Khabar Key Hath Per Likha Huwa Hay Sabar Abhi…….Samay Ki Aankh May Ab Tak Safar Ki Uljhan Hay…….Bikharta Hoon May Kabhi Aur Kabhi Saanwarta Hoon….Na Tootta Hoon Mukammal Na Pura Jourta Hoon…….Main Darmiyain Say Aagay Jo Baar Nahi Paya……..Yea Mera Doosh Nahi Raastoon Ki Saazish Hay…….Kisi Bhi Semt Chaley Ab Huwa Yea Sabit Hay…….Abhi Dukhoon Ko Meri Zindagi Ki Haajat Hay……..

Masoom Chehra Nigaahen FarebiL abon Pe Hasni Aur Dil Mein Daga HaiMile Dost Jisko Yahan Tere JaisaUse Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya HaiMasoom Chehra … Daga HaiDil Tod Diya, Kyon Itna Bata DePhir Baad Mein Bewafa Jo Chaahe Mujhko Saza DeTeri Berukhi Se Pareshaan Hoon MeinNa Aaye Samajh Mein Yeh Kya Maajra HaiMasoom Chehra … Daga HaiKya Usko Kahen Jo Kasmon Ko BhooleApno Se Karke Jafa, Gairon Ki Baahon Mein JhooleNazar Mein Basa Ke Nazar Pher LenaYeh Kaisi Mohabbat Yeh Kaisi Wafa HaiMasoom Chehra … Daga HaiJo Bharta Nahin Woh Zakhm Diya HaiMujhko Nahin Pyar Ko, Badnaam Tune Kiya HaiJise Maine Pooja Maseeha Bana KeNa Tha Yeh Pata Pattharo Ka Bana HaiMasoom … Daga HaiMile Dost Jisko Yahan Tere JaisaUse Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya HaiMasoom Chehra … Daga Hai

0 comments: